Shayari
qad kaa andaaza tumhein ho jaaegaa
apne saae ko ghaTaa kar dekhnaa
A
Aghaz Barniab agar ishq ke aasaar nahin badleinge
ham bhi pairaaya-e-izhaar nahin badleinge
اب اگر عشق کے آثار نہیں بدلیں گے
ہم بھی پیرایۂ اظہار نہیں بدلیں گے
अब अगर इश्क़ के आसार नहीं बदलेंगे
हम भी पैराया-ए-इज़हार नहीं बदलेंगे
qad kaa andaaza tumhein ho jaaegaa
apne saae ko ghaTaa kar dekhnaa
main khud se chhupaa lekin
us shakhs pe uryaan thaa
ai shab-e-gham mire muqaddar ki
tere daaman mein ik sahar hoti
use suljhaaun kaise
main khud uljhaa huaa huun
mire ehsaas ke aatish-fishaan kaa
agar ho to mire dil tak dhuaan ho
main to bas ye chaahtaa huun vasl bhi
do dilon ke darmiyaan haael na ho
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain