Shayari
ajnabi log hain main jin mein ghiraa rahtaa huun
aashnaa koi yahaan mere fasaane kaa nahin
hotaa na koi kaar-e-zamaana mire supurd
bas apne kaarobaar-e-mohabbat ko dekhtaa
ہوتا نہ کوئی کار زمانہ مرے سپرد
بس اپنے کاروبار محبت کو دیکھتا
होता न कोई कार-ए-ज़माना मिरे सुपुर्द
बस अपने कारोबार-ए-मोहब्बत को देखता

ajnabi log hain main jin mein ghiraa rahtaa huun
aashnaa koi yahaan mere fasaane kaa nahin
mujhe ye kyaa paDi hai kaun meraa ham-safar hogaa
havaa ke saath gaataa huun nadi ke saath chaltaa huun
ek muddat se use dekh rahaa huun 'ahmad'
aur lagtaa hai abhi ek jhalak dekhaa hai
uDti hai khaak dil ke darichon ke aas-paas
shaayad makin koi nahin is makaan mein
kisi ko chhoD detaa huun kisi ke saath chaltaa huun
main chaltaa huun to phir vaabastagi ke saath chaltaa huun
ye kaun boltaa hai mire dil ke andarun
aavaaz kis ki gunjti hai is makaan mein
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kise fursat ki farz-e-khidmat-e-ulfat bajaa laae
na tum bekaar baiThe ho na ham bekaar baiThe hain
agar kaar-e-ulfat ko mushkil samajh luun
to kyaa tark-e-ulfat mein aasaaniyaan hain
husn aur ishq hain donon kaafir
donon mein ik jhagDaa saa hai
ham bhi kisi shirin ke liye khaana-badar the
farhaad rah-e-ishq mein tanhaa to na niklaa