Shayari
vo kaafir-nigaahein khudaa ki panaah
jidhar phir gaiin faisla ho gayaa
kise fursat ki farz-e-khidmat-e-ulfat bajaa laae
na tum bekaar baiThe ho na ham bekaar baiThe hain
کسے فرصت کہ فرض خدمت الفت بجا لائے
نہ تم بیکار بیٹھے ہو نہ ہم بیکار بیٹھے ہیں
किसे फ़ुर्सत कि फ़र्ज़-ए-ख़िदमत-ए-उल्फ़त बजा लाए
न तुम बेकार बैठे हो न हम बेकार बैठे हैं

vo kaafir-nigaahein khudaa ki panaah
jidhar phir gaiin faisla ho gayaa
ham ko na mil sakaa to faqat ik sukun-e-dil
ai zindagi vagarna zamaane mein kyaa na thaa
didaar ki talab ke tariqon se be-khabar
didaar ki talab hai to pahle nigaah maang
afsos be-shumaar sukhan-haa-e-guftani
khauf-e-fasaad-e-khalq se naa-gufta rah gae
sazaaein to har haal mein laazmi thiin
khataaein na kar ke pashemaaniyaan hain
banda-parvar main vo banda huun ki bahr-e-bandagi
jis ke aage sar jhukaa dungaa khudaa ho jaaegaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
charchaa hamaaraa ishq ne kyuun jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
aataa rahaa huun yaad main us ko tamaam umr
is zaaviye se ishq mein naakaam kab huaa
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa