Shayari
kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
muddatein ho gaiin bichhDe hue tum se lekin
aaj tak dil se mire yaad tumhaari na gai
مدتیں ہو گئیں بچھڑے ہوئے تم سے لیکن
آج تک دل سے مرے یاد تمہاری نہ گئی
मुद्दतें हो गईं बिछड़े हुए तुम से लेकिन
आज तक दिल से मिरे याद तुम्हारी न गई

kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
ab to miliye bas laDaai ho chuki
ab to chaliye pyaar ki baatein karein
zindagi kitni masarrat se guzarti yaa rab
aish ki tarah agar gham bhi gavaaraa hotaa
yaad aao mujhe lillaah na tum yaad karo
meri aur apni javaani ko na barbaad karo
un ras bhari aankhon mein hayaa khel rahi hai
do zahr ke pyaalon mein qazaa khel rahi hai
jo bhi buraa bhalaa hai allaah jaantaa hai
bande ke dil mein kyaa hai allaah jaantaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
miri hasti hai miri tarz-e-tamannaa ai dost
khud main fariyaad huun meri koi fariyaad nahin
fikr-e-maaash ishq-e-butaan yaad-e-raftagaan
is zindagi mein ab koi kyaa kyaa kiyaa kare
jis roz kisi aur pe bedaad karoge
ye yaad rahe ham ko bahut yaad karoge
'saudaa' tiri fariyaad se aankhon mein kaTi raat
aai hai sahar hone ko tuk tu kahin mar bhi