Shayari
kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
ab to miliye bas laDaai ho chuki
ab to chaliye pyaar ki baatein karein
اب تو ملیے بس لڑائی ہو چکی
اب تو چلئے پیار کی باتیں کریں
अब तो मिलिए बस लड़ाई हो चुकी
अब तो चलिए प्यार की बातें करें

kis ko fursat thi zamaane ke sitam sahne ki
gar na us shokh ki aankhon kaa ishaaraa hotaa
zindagi kitni masarrat se guzarti yaa rab
aish ki tarah agar gham bhi gavaaraa hotaa
yaad aao mujhe lillaah na tum yaad karo
meri aur apni javaani ko na barbaad karo
muddatein ho gaiin bichhDe hue tum se lekin
aaj tak dil se mire yaad tumhaari na gai
un ras bhari aankhon mein hayaa khel rahi hai
do zahr ke pyaalon mein qazaa khel rahi hai
jo bhi buraa bhalaa hai allaah jaantaa hai
bande ke dil mein kyaa hai allaah jaantaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tiri taarif karne lag gayaa huun
mohabbat ne diyaanat chhin li hai
TuuTi nishast-e-dil to mohabbat ki aabru
vaapas usi maqaam pe laai na jaa saki
khud-kushi jurm bhi hai sabr ki tauhin bhi hai
is liye ishq mein mar mar ke jiyaa jaataa hai
mohabbat main bhi kartaa huun mohabbat tum bhi karte ho
magar donon mein munh-dekhi mohabbat kaun kartaa hai