Shayari
ammaame ko utaar ke paDhiyo namaaz shaikh
sajde se varna sar ko uThaayaa na jaaegaa
fikr-e-maaash ishq-e-butaan yaad-e-raftagaan
is zindagi mein ab koi kyaa kyaa kiyaa kare
فکر معاش عشق بتاں یاد رفتگاں
اس زندگی میں اب کوئی کیا کیا کیا کرے
फ़िक्र-ए-मआश इश्क़-ए-बुताँ याद-ए-रफ़्तगाँ
इस ज़िंदगी में अब कोई क्या क्या किया करे

ammaame ko utaar ke paDhiyo namaaz shaikh
sajde se varna sar ko uThaayaa na jaaegaa
kis munh se phir tu aap ko kahtaa hai ishq-baaz
ai ru-siyaah tujh se to ye bhi na ho sakaa
firaaq-e-khuld se gandum hai sina-chaak ab tak
ilaahi ho na vatan se koi gharib judaa
'saudaa' se shakhs ke taiin aazurda kijiye
ai khud-parast haif nahin tu vafaa-parast
ishq se to nahin huun main vaaqif
dil ko shoala saa kuchh lipaTtaa hai
ye to nahin kahtaa huun ki sach-much karo insaaf
jhuTi bhi tasalli ho to jiitaa hi rahun main
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDtaa hai pyaar aankhon mein