Shayari
log mohtaat hain ravayyon mein
qurbaton mein bhi faasla hai yahaan
dil kaa chhunaa thaa ki jazbaat hue patthar ke
aisaa lagtaa hai ki ham shahr-e-tilismaat mein hain
دل کا چھونا تھا کہ جذبات ہوئے پتھر کے
ایسا لگتا ہے کہ ہم شہر طلسمات میں ہیں
दिल का छूना था कि जज़्बात हुए पत्थर के
ऐसा लगता है कि हम शहर-ए-तिलिस्मात में हैं

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
mohkme mein ishq ke hai yaaro divaane kaa shor
mere dil dene kaa ghul us ke mukar jaane kaa shor
zakhm ke lagte hi kyaa khul gae chhaati ke kivaaD
aage ye khaana-e-dilchasp havaa daar na thaa
kis tarah 'razaa' tu na ho dhavaane zamaana
jab dil saa tiri baiThaa ho badnaam baghal mein
ham itne pareshaan the ki haal-e-dil-e-sozaan
un ko bhi sunaayaa ki jo gham-khvaar nahin the