Shayari
tiri vahshat ki sarsar se uDaa juun paat aandhi kaa
miraa dil haath se khoyaa to tere haath kyaa aayaa
mohkme mein ishq ke hai yaaro divaane kaa shor
mere dil dene kaa ghul us ke mukar jaane kaa shor
محکمے میں عشق کے ہے یارو دیوانے کا شور
میرے دل دینے کا غل اس کے مکر جانے کا شور
मोहकमे में इश्क़ के है यारो दीवाने का शोर
मेरे दिल देने का ग़ुल उस के मुकर जाने का शोर

tiri vahshat ki sarsar se uDaa juun paat aandhi kaa
miraa dil haath se khoyaa to tere haath kyaa aayaa
jaave thi jaasusi-e-majnun ko taa raahat na le
varna kab lailaa ko thaa sahraa mein jaane kaa dimaagh
ishq gore husn kaa aashiq ke dil ko de jalaa
saanvlon ke aashiqon kaa dil hai kaalaa koelaa
main sahraa jaa ke qabr-e-hazrat-e-majnun ko dekhaa thaa
ziyaarat karte the aahu bagula tauf kartaa thaa
jaa kar fanaa ke us taraf aasuda main huaa
main aalam-e-adam mein bhi dekhaa maza na thaa
vo pal mein jal-bujhaa aur ye tamaam raat jalaa
hazaar baar patinge se hai charaagh bhalaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai