Shayari
ye ashk palkon pe Thahrein to aisaa lagtaa hai
kisi makaan ki dahliz par diye rakhe hain
qasam uThaai hai siina hi noch Daaleinge
kabhi jo 'ishq ki mahsus ki chubhan ham ne
قسم اٹھائی ہے سینہ ہی نوچ ڈالیں گے
کبھی جو عشق کی محسوس کی چبھن ہم نے
क़सम उठाई है सीना ही नोच डालेंगे
कभी जो 'इश्क़ की महसूस की चुभन हम ने

ye ashk palkon pe Thahrein to aisaa lagtaa hai
kisi makaan ki dahliz par diye rakhe hain
hamesha she'r kahne ki mashaqqat karni paDti hai
asiraan-e-sukhan kis ne kahaa aazaad hote hain
haalaat chaahe jo bhi hon dil to baDaa rakho
ye vaqt kaT hi jaaegaa tum hausla rakho
jaan se baDh ke huaa karti hai 'izzat pyaare
sar diyaa jaataa hai dastaar bachaane ke liye
talab nahin hai hamein dusri mohabbat ki
'amaan' chaae dubaara zarur chaahte hain
ai maahtaabo ujaalon ki bhiik le jaao
hamaare paanv ke chhaalon ki aaftaabi se
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaan hai
qatre mein samundar hai zarre mein bayaabaan hai
kyaa kyaa hain dard-e-ishq ki fitna-taraaziyaan
ham iltifaat-e-khaas se bhi bad-gumaan rahe
ishq ki betaabiyon par husn ko rahm aa gayaa
jab nigaah-e-shauq taDpi parda-e-mahmil na thaa