Shayari
kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
apni mahfil se abas ham ko uThaate hain huzur
chupke baiThe hain alag aap kaa kyaa lete hain
اپنی محفل سے عبث ہم کو اٹھاتے ہیں حضور
چپکے بیٹھے ہیں الگ آپ کا کیا لیتے ہیں
अपनी महफ़िल से अबस हम को उठाते हैं हुज़ूर
चुपके बैठे हैं अलग आप का क्या लेते हैं

kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
aafat to hai vo naaz bhi andaaz bhi lekin
martaa huun main jis par vo adaa aur hi kuchh hai
maani hain main ne saikaDon baatein tamaam umr
aaj aap ek baat miri maan jaaiye
vo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shaad huun ki huun to kisi ki nigaah mein
khudaa ne nek surat di to sikho nek baatein bhi
bure hote ho achchhe ho ke ye kyaa bad-zabaani hai
tum ko aataa hai pyaar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyaar aataa hai
un ko lailaa ki sadaarat ki judaai kaa hai gham
ghar se baahar kaise niklein vo abhi iddat mein hain
paas hamaare aakar tum begaana se kyuun ho
chaaho to ham phir kuchh duuri par chhoD aaein tumhein
ye alag baat mujhe lauT ke aanaa hai yahin
tirgi mujh ko magar phir bhi rihaai de de
tire firaaq mein dil kaa ajiib aalam hai
na kuchh khumaar se baDh kar na kuchh khumaar se kam
fikr-e-jahaan dard-e-mohabbat firaaq-e-yaar
kyaa kahiye kitne gham hain miri zindagi ke saath
ik lamha-e-firaaq pe vaaraa gayaa mujhe
kaisi hasin shaam mein maaraa gayaa mujhe