Shayari
sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
itnaa bedaariyon se kaam na lo
dosto khvaab bhi zaruri hai
اتنا بیداریوں سے کام نہ لو
دوستو خواب بھی ضروری ہے
इतना बेदारियों से काम न लो
दोस्तो ख़्वाब भी ज़रूरी है

sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
honaa paDaa hai khugar-e-gham bhi khushi ki khair
vo mujh pe mehrbaan hain magar be-rukhi ke saath
apne hamraah khud chalaa karnaa
kaun aaegaa mat rukaa karnaa
muztarib hain maujein kyuun uTh rahe hain tufaan kyuun
kyaa kisi safine ko aarzu-e-saahil hai
giraa diyaa hai to saahil pe intizaar na kar
agar vo Duub gayaa hai to duur niklegaa
main ne kyuun tark-e-taalluq ki jasaarat ki hai
tum agar ghaur karoge to pashimaan hoge
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
sivaa us ke na koi aur meraa dost ban paae
vo is Dar se zamaana mein mujhe badnaam kartaa hai
zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
phir chhu gayaa hai pyaar se koi zamin-e-dil
khilne lage hain dasht mein phir mogre ke phuul
main khvaab mein bhi use khul ke pyaar kar na sakaa
ki shankh bajne lagaa aur azaan hone lagi