Shayari
kahun ai zauq kyaa haal-e-shab-e-hijr
ki thi ik ik ghaDi sau sau mahine
jaane kis rang se ruThegi tabiat us ki
jaane kis Dhang se ab us ko manaanaa hogaa
جانے کس رنگ سے روٹھے گی طبیعت اس کی
جانے کس ڈھنگ سے اب اس کو منانا ہوگا
जाने किस रंग से रूठेगी तबीअत उस की
जाने किस ढंग से अब उस को मनाना होगा

kahun ai zauq kyaa haal-e-shab-e-hijr
ki thi ik ik ghaDi sau sau mahine
is vaqt vahaan kaun dhuaan dekhne jaae
akhbaar mein paDh leinge kahaan aag lagi thi
chaae bhi achchhi banaati hain miri begam magar
munh banaane mein to un kaa koi saani hi nahin
raat aai hai balaaon se rihaai degi
ab na divaar na zanjir dikhaai degi
ajiib lutf thaa naadaaniyon ke aalam mein
samajh mein aaiin to baaton kaa vo maza bhi gayaa
jo hansnaa hansaanaa hotaa hai
rone ko chhupaanaa hotaa hai
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
jaise bijli ke chamakne se kisu ki sudh jaae
be-khudi aai achaanak tire aa jaane se
haarne mein ik anaa ki baat thi
jiit jaane mein khasaaraa aur hai
kiyaa hai jab siin amal be-khudi ke haakim ne
khirad-nagar ki raiyat hui hai ru ba-gurez