Shayari
vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
kaun royaa pas-e-divaar-e-chaman aakhir-e-shab
kyuun sabaa lauT gai raahguzar se puchho
کون رویا پس دیوار چمن آخر شب
کیوں صبا لوٹ گئی راہ گزر سے پوچھو
कौन रोया पस-ए-दीवार-ए-चमन आख़िर-ए-शब
क्यूँ सबा लौट गई राहगुज़र से पूछो

vo habib ho ki rahbar vo raqib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
hamein baada-kash-e-dard-e-tamannaa
hamin par band hai mai-khaana dil kaa
sab dikhaate hain tiraa aks miri aankhon mein
ham zamaane ko isi taur se mahbub hue
aankhon mein ghul na jaaein kahin zulmaton ke rang
jis samt raushni hai udhar dekhte raho
aao dekhein ahl-e-vafaa ki hoti hai tauqir kahaan
kis mahfil kaa naam hai maqtal khinchti hai shamshir kahaan
dilon ki aag baDhaao ki log kahte hain
charaagh-e-husn se raushan jahaan nahin hotaa
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
dil ne go laakh ye chaahaa ki bhulaa duun tujh ko
yaad ne teri magar aaj bhi maaraa shab-khun
khvaabon ki tarah aanaa khushbu ki tarah jaanaa
mumkin hi nahin lagtaa ai dost tujhe paanaa
kis se puchhein raat-bhar apne bhaTakne kaa sabab
sab yahaan milte hain jaise niind mein jaage hue