Shayari
sameT le gae sab rahmatein kahaan mehmaan
makaan kaaTtaa phirtaa hai mezbaanon ko
A
Asif Saqibsiine ke biich 'saaqib' aisaa hai marnaa jiinaa
ik yaad ji uThi thi ik yaad mar gai hai
سینے کے بیچ ثاقبؔ ایسا ہے مرنا جینا
اک یاد جی اٹھی تھی اک یاد مر گئی ہے
सीने के बीच 'साक़िब' ऐसा है मरना जीना
इक याद जी उठी थी इक याद मर गई है
sameT le gae sab rahmatein kahaan mehmaan
makaan kaaTtaa phirtaa hai mezbaanon ko
raste ki anjaan khushi hai
manzil kaa an-jaanaa Dar hai
dil ki maujon ki taDap meri sadaa mein aae
daaere karb ke phaile to havaa mein aae
lakir khinch ke mujh pe vo phir mujhe dekhe
nigaar-o-naqsh mein chehra hai hu-ba-hu meraa
kis darja munaafiq hain sab ahl-e-havas 'saaqib'
andar se to patthar hain aur lagte hain paani se
qaidi rihaa hue the pahan kar nae libaas
ham to qafas se oDh ke zanjir chal paDe
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
ye karein aur vo karein aisaa karein vaisaa karein
zindagi do din ki hai do din mein ham kyaa kyaa karein
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
miTaa miTaa saa tasavvur hai naaz maazi kaa
hayaat-e-nau hai ab is umr-e-raaegaan se gurez