Shayari
jaane vaale ko kahaan rok sakaa hai koi
tum chale ho to koi rokne vaalaa bhi nahin
khafaa na ho ki tiraa husn hi kuchh aisaa thaa
main tujh se pyaar na kartaa to aur kyaa kartaa
خفا نہ ہو کہ ترا حسن ہی کچھ ایسا تھا
میں تجھ سے پیار نہ کرتا تو اور کیا کرتا
ख़फ़ा न हो कि तिरा हुस्न ही कुछ ऐसा था
मैं तुझ से प्यार न करता तो और क्या करता

jaane vaale ko kahaan rok sakaa hai koi
tum chale ho to koi rokne vaalaa bhi nahin
divaar-e-khastagi huun mujhe haath mat lagaa
main gir paDungaa dekh mujhe aasraa na de
kise kahein ki rifaaqat kaa daagh hai dil par
bichhaDne vaalaa to khul kar kabhi milaa hi na thaa
jise darpesh judaai ho use kyaa maalum
kaun si baat ko kis tarah bayaan honaa hai
ham ko pahchaan ki ai bazm-e-chaman-zaar-e-vajud
ham na hote to tujhe kis ne sanvaaraa hotaa
hamaare haath faqat ret ke sadaf aae
ki saahilon pe sitaara koi rahaa hi na thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
shaghl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hain
kuchh samajh mein nahin aataa ki ye kyaa kahte hain
ye kyaa ki hamin marte rahein lutf to jab hai
taasir-e-mohabbat jo idhar ho to udhar bhi
ye maanaa shisha-e-dil raunaq-e-baazaar-e-ulfat hai
magar jab TuuT jaataa hai to qimat aur hoti hai
dil o nazar ki baqaa hai faqat mohabbat mein
dil o nazar se koi aur kaam mat lenaa