Shayari
sirf tasvir rah gai baaqi
jis mein ham ek saath baiThe hain
kisi aur ko main tire sivaa nahin chaahtaa
so kisi se teraa muvaazana nahin chaahtaa
کسی اور کو میں ترے سوا نہیں چاہتا
سو کسی سے تیرا موازنہ نہیں چاہتا
किसी और को मैं तिरे सिवा नहीं चाहता
सो किसी से तेरा मुवाज़ना नहीं चाहता

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
hamein anjaam bhi maalum hai lekin na jaane kyuun
charaaghon ko havaaon se bachaanaa chaahte hain ham
kisi ki mehrbaani se mohabbat mutmain kyaa ho
mohabbat to mohabbat se bhi aasuda nahin hoti
use kaho ki natija koi na niklegaa
use kaho ki mohabbat kaa imtihaan na le
gae mausam kaa ik piilaa saa pattaa shaakh par rah kar
na jaane kyaa bataanaa chaahtaa hai in bahaaron ko