Shayari
jis darja nek hone ki milti rahi hai daad
us darja nek banne kaa armaan kabhi na thaa
kisi ki mehrbaani se mohabbat mutmain kyaa ho
mohabbat to mohabbat se bhi aasuda nahin hoti
کسی کی مہربانی سے محبت مطمئن کیا ہو
محبت تو محبت سے بھی آسودہ نہیں ہوتی
किसी की मेहरबानी से मोहब्बत मुतमइन क्या हो
मोहब्बत तो मोहब्बत से भी आसूदा नहीं होती

jis darja nek hone ki milti rahi hai daad
us darja nek banne kaa armaan kabhi na thaa
aae to dil thaa baagh baagh aur gae to daagh daagh
kitni khushi vo laae the kitnaa malaal de gae
raat se shikaayat kyaa bas tumhin se kahnaa hai
tum zaraa Thahar jaao raat kab Thaharti hai
abhi se vo daaman chhuDaane lage ho
jo ab tak mire haath aayaa nahin hai
aur hi vo log hain jin ko hai yazdaan ki talaash
mujh ko insaanon ki duniyaa mein hai insaan ki talaash
ham se shikaayatein bajaa ham ko bhi hai magar gila
pahle se ham nahin agar pahle se aap bhi nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishvon ki hai na us nigah-e-fitna-zaa ki hai
saari khataa mire dil-e-shorish-adaa ki hai
aane vaalon ki mohabbat hi bahut hai mujh ko
jaane vaalon se kahaan koi shikaayat hai mujhe
itni to did-e-ishq ki taasir dekhiye
jis samt dekhiye tiri tasvir dekhiye
phir apni is prem-kahaani par aayaa decline
ab vo mujh ko jin kahti hai aur main us ko Daain