Shayari
yuun bhi mili hai mujh ko mire zabt-e-gham ki daad
aksar vo sar jhukaae hue muskuraae hain
mire kalaam se behtar hai meri khaamoshi
na jaane kitne savaalon ki aabru rakh li
مرے کلام سے بہتر ہے میری خاموشی
نہ جانے کتنے سوالوں کی آبرو رکھ لی
मिरे कलाम से बेहतर है मेरी ख़ामोशी
न जाने कितने सवालों की आबरू रख ली

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
milte ho to ab tum bhi bahut rahte ho khaamosh
kyaa tum ko bhi ab meri khabar hone lagi hai
ek aavaaz main ne suni thi abhi kaun bolaa thaa ye to khabar hi nahin
ye ta'alluq zaruri hai kis ne kahaa vo bhi khaamosh thaa main bhi khaamosh thi
maslahat thi koi vo chup the agar
bolne vaale to khul kar bolte
teraa chup rahnaa mire zehn mein kyaa baiTh gayaa
itni aavaazein tujhe diin ki galaa baiTh gayaa
zabaan khaamosh magar nazron mein ujaalaa dekhaa
us kaa izhaar-e-mohabbat bhi niraalaa dekhaa