Shayari
kuchh na hone kaa gumaan thaa phir bhi
kuchh to hone ko huaa thaa kyaa thaa
maslahat thi koi vo chup the agar
bolne vaale to khul kar bolte
مصلحت تھی کوئی وہ چپ تھے اگر
بولنے والے تو کھل کر بولتے
मस्लहत थी कोई वो चुप थे अगर
बोलने वाले तो खुल कर बोलते

kuchh na hone kaa gumaan thaa phir bhi
kuchh to hone ko huaa thaa kyaa thaa
us sitam pesha kaa eajaaz-e-sitam hi hogaa
dast-e-qaatil ko agar dast-e-masihaa likkhun
un se 'sharar' kuchh aise bichhDe
jivan kaa har sapnaa bikhraa
mere hi khuun mein nahlaa ke 'sharar'
vo salibon pe sajaa degaa mujhe
kyaa thi vo dair-o-haram ki duniyaa
jo bhi duniyaa kaa khudaa thaa kyaa thaa
be-hisi vo hai ki is daur mein jiine kaa mazaa
na gunaahon mein rahaa aur na savaabon mein rahaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ne bakhshaa hai kyaa zarf mom-batti ko
pighalte rahnaa magar saari raat chup rahnaa
sab ne dekhaa aur sab khaamosh the
ek suufi kaa mazaar uDtaa huaa
aaina ye to bataataa hai ki main kyaa huun magar
aaina is pe hai khaamosh ki kyaa hai mujh mein
aaina ye to bataataa hai main kyaa huun lekin
aaina is pe hai khaamosh ki kyaa hai mujh mein
miri dahliz par chupke se 'paashi'
ye kis ne rakh di meri laash laa kar