Shayari
phailte hue shahro apni vahshatein roko
mere ghar ke aangan par aasmaan rahne do
uljhe uljhe resham ki Dor se bandhe rishte
har ghaDi mohabbat kaa imtihaan rahne do
الجھے الجھے ریشم کی ڈور سے بندھے رشتے
ہر گھڑی محبت کا امتحان رہنے دو
उलझे उलझे रेशम की डोर से बंधे रिश्ते
हर घड़ी मोहब्बत का इम्तिहान रहने दो

phailte hue shahro apni vahshatein roko
mere ghar ke aangan par aasmaan rahne do
ab ki baar jo ghar jaanaa to saare album le aanaa
vaqt ki dimak lag jaati hai yaadon ki almaari mein
aane vaale kal ki khaatir har har pal qurbaan kiyaa
haal ko dafnaa dete hain ham jiine ki tayyaari mein
bachpan kitnaa pyaaraa thaa jab dil ko yaqin aa jaataa thaa
marte hain to ban jaate hain aasmaan ke taare log
haqiqatein to mire roz o shab ki saathi hain
main roz o shab ki haqiqat badalnaa chaahti huun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye 'ishq laaegaa us moD par tujhe ek din
ghazal nahin tu miraa naam gungunaaegaa
ab is se baDh ke mohabbat kisi ko kyaa degi
kisi ki aankh kaa aansu kisi ki aankh mein hai
dard vahin zanjir vahin divaar vahin
'ishq se aakhir jhagDaa kyaa hai 'aali jaah
sazaa dete hain 'vaasif' sab ko vo jurm-e-mohabbat par
nahin mere liye koi sazaa ye hai sazaa meri