Shayari
ghamon se bair thaa so ham ne khud-kushi kar li
shajar giraa ke parindon se intiqaam liyaa
ham ab udaas nahin sar-ba-sar udaasi hain
hamein charaagh nahin raushni kahaa jaae
ہم اب اداس نہیں سر بہ سر اداسی ہیں
ہمیں چراغ نہیں روشنی کہا جائے
हम अब उदास नहीं सर-ब-सर उदासी हैं
हमें चराग़ नहीं रौशनी कहा जाए

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
khudaa ko maan ki tujh lab ke chumne ke sivaa
koi ilaaj nahin aaj ki udaasi kaa
fazaa udaas hai rut muzmahil hai main chup huun
jo ho sake to chalaa aa kisi ki khaatir tu