Shayari
ghamon se bair thaa so ham ne khud-kushi kar li
shajar giraa ke parindon se intiqaam liyaa
mere alaava use khud se bhi mohabbat hai
aur aisaa karne se vo bevafaa nahin hoti
میرے علاوہ اسے خود سے بھی محبت ہے
اور ایسا کرنے سے وہ بے وفا نہیں ہوتی
मेरे अलावा उसे ख़ुद से भी मोहब्बत है
और ऐसा करने से वो बेवफ़ा नहीं होती

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa