Shayari
mere alaava use khud se bhi mohabbat hai
aur aisaa karne se vo bevafaa nahin hoti
ghamon se bair thaa so ham ne khud-kushi kar li
shajar giraa ke parindon se intiqaam liyaa
غموں سے بیر تھا سو ہم نے خود کشی کر لی
شجر گرا کے پرندوں سے انتقام لیا
ग़मों से बैर था सो हम ने ख़ुद-कुशी कर ली
शजर गिरा के परिंदों से इंतिक़ाम लिया

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
hamaare gham tumhaare gham baraabar hain
so is nisbat se tum aur ham baraabar hain
main tark-e-taalluq pe bhi aamaada huun lekin
tu bhi to miraa qarz-e-gham-e-hijr adaa kar
aai sadaa-e-haq ki yahi band-o-bast hain
tere vatan ke log to murda-parast hain