Shayari
itnaa hi chaahtaa huun ki main aur andalib
aapas mein dard-e-dil kahein Tuk baiTh kar kahin
B
Bandar Ibnkuchh aisi ban gai tasvir us ke dast-e-qudrat se
rahaa hairaan banaa kar aap surat-aafrin barson
کچھ ایسی بن گئی تصویر اس کے دست قدرت سے
رہا حیراں بنا کر آپ صورت آفریں برسوں
कुछ ऐसी बन गई तस्वीर उस के दस्त-ए-क़ुदरत से
रहा हैराँ बना कर आप सूरत-आफ़रीं बरसों
itnaa hi chaahtaa huun ki main aur andalib
aapas mein dard-e-dil kahein Tuk baiTh kar kahin
sunaa kis ne haal meraa ki juun abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-duaa-e-baaraan
ai baaghbaan nahin tire gulshan se kuchh gharaz
mujh se qasam le chheDun agar barg-o-bar kahin
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
bahtaa huun main dariyaa ki ravaani se kahin duur
ik pyaas mujhe laai thi paani se kahin duur
dariyaa-e-husn aur bhi do haath baDh gayaa
angDaai us ne nashshe mein li jab uThaa ke haath
dikhaayaa us ne ban-Than kar vo jalva apni surat kaa
ki paani phir gayaa aaine par dariyaa-e-hairat kaa
ajab nahin ki ye dariyaa nazar kaa dhokaa ho
ajab nahin ki koi raasta nikal aae
sunaa thaa main ne ki fitrat khalaa ki dushman hai
so vo badan miri tanhaaiyon ko paaT gayaa