Shayari
itnaa hi chaahtaa huun ki main aur andalib
aapas mein dard-e-dil kahein Tuk baiTh kar kahin
B
Bandar Ibnai baaghbaan nahin tire gulshan se kuchh gharaz
mujh se qasam le chheDun agar barg-o-bar kahin
اے باغباں نہیں ترے گلشن سے کچھ غرض
مجھ سے قسم لے چھیڑوں اگر برگ و بر کہیں
ऐ बाग़बाँ नहीं तिरे गुलशन से कुछ ग़रज़
मुझ से क़सम ले छेड़ूँ अगर बर्ग-ओ-बर कहीं
itnaa hi chaahtaa huun ki main aur andalib
aapas mein dard-e-dil kahein Tuk baiTh kar kahin
kuchh aisi ban gai tasvir us ke dast-e-qudrat se
rahaa hairaan banaa kar aap surat-aafrin barson
sunaa kis ne haal meraa ki juun abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-duaa-e-baaraan
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
mire lahu se jis ke barg-o-baar mein bahaar hai
vahi shajar mire liye salib kaise ho gayaa