Shayari
jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yuun hi guzaar subh-o-shaam
ziist ki talkhiyaan mudaam pi ke pilaa ke bhuul jaa
shaam Dhalte hi ye aalam hai to kyaa jaane bashir
haal apnaa subh tak be-rabt nabzein kyaa karein
شام ڈھلتے ہی یہ عالم ہے تو کیا جانے بشیرؔ
حال اپنا صبح تک بے ربط نبضیں کیا کریں
शाम ढलते ही ये आलम है तो क्या जाने बशीर
हाल अपना सुब्ह तक बे-रब्त नब्ज़ें क्या करें

jaam-ba-dast-o-mai-ba-jaam yuun hi guzaar subh-o-shaam
ziist ki talkhiyaan mudaam pi ke pilaa ke bhuul jaa
ham siin maston ko bas hai teri nigaah
subh uTh kar khumaar ki khaatir
vo khat vo chehra vo zulf-e-siyaah to dekho
ki shaam subh ke baad aae subh shaam ke baad
qismat ki tirgi ki kahaani na puchhiye
subh-e-vatan bhi shaam-e-gharibaan hai aaj kal
jo hui subh to dekhe nae qadmon ke nishaan
aaj hi raat ko lauTe the safar se apne
kyaa jaanein un ki chaal mein eajaaz hai ki sehr
vo bhi unhin se mil gae jo the hamaare log