Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi
ye khiDki kholo zaraa subh ki havaa hi lage
نہیں ہے میرے مقدر میں روشنی نہ سہی
یہ کھڑکی کھولو ذرا صبح کی ہوا ہی لگے
नहीं है मेरे मुक़द्दर में रौशनी न सही
ये खिड़की खोलो ज़रा सुब्ह की हवा ही लगे

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
shama hogi subh tak baaqi na parvaane ki khaak
ahl-e-mahfil ki zabaan par daastaan rah jaaegi
shaam Dhalte hi ye aalam hai to kyaa jaane bashir
haal apnaa subh tak be-rabt nabzein kyaa karein
itne chehron mein mujhe hai ek chehre ki talaash
jis ko main ne kho ke paayaa paa ke khoyaa subh tak
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
aansu falak ki aankh se Tapke tamaam raat
aur subh tak zamin kaa aanchal bhigo gae