Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
sochaa nahin achchhaa-buraa dekhaa-sunaa kuchh bhi nahin
maangaa khudaa se raat-din tere sivaa kuchh bhi nahin
سوچا نہیں اچھا برا دیکھا سنا کچھ بھی نہیں
مانگا خدا سے رات دن تیرے سوا کچھ بھی نہیں
सोचा नहीं अच्छा-बुरा देखा-सुना कुछ भी नहीं
माँगा ख़ुदा से रात-दिन तेरे सिवा कुछ भी नहीं

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
bhuul shaayad bahut baDi kar li
dil ne duniyaa se dosti kar li
ik shaam ke saae tale baiThe rahe vo der tak
aankhon se ki baatein bahut munh se kahaa kuchh bhi nahin
khudaa aise ehsaas kaa naam hai
rahe saamne aur dikhaai na de
hasin to aur hain lekin koi kahaan tujh saa
jo dil jalaae bahut phir bhi dilrubaa hi lage
khudaa ki itni baDi kaaenaat mein main ne
bas ek shakhs ko maangaa mujhe vahi na milaa
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
haqiqat se hain koson duur afsaanon ko kyaa dekhein
hon jin ke haath naqli un ke dastaanon ko kyaa dekhein
ab us ko sochte hain aur hanste jaate hain
ki tere gham se ta'alluq rahaa hai kitni der
kul kaaenaat fikr se aazaad ho gai
insaan misaal-e-dast-e-tah-e-sang rah gayaa
rozi-rasaan khudaa hai fikr-e-maaash mat kar
is khaar kaa tu dil mein khauf-e-kharaash mat kar