Shayari
kaise yaad rahi tujh ko
meri ik chhoTi si bhuul
kuchh to hassaas ham ziyaada hain
kuchh vo barham ziyaada hotaa hai
کچھ تو حساس ہم زیادہ ہیں
کچھ وہ برہم زیادہ ہوتا ہے
कुछ तो हस्सास हम ज़ियादा हैं
कुछ वो बरहम ज़ियादा होता है

kaise yaad rahi tujh ko
meri ik chhoTi si bhuul
jab bhi mile ham un se unhon ne yahi kahaa
bas aaj aane vaale the ham aap ki taraf
dil lagaa lete hain ahl-e-dil vatan koi bhi ho
phuul ko khilne se matlab hai chaman koi bhi ho
'baasir' tumhein yahaan kaa abhi tajraba nahin
bimaar ho? paDe raho, mar bhi gae to kyaa
ruk gayaa haath tiraa kyuun 'baasir'
koi kaanTaa to na thaa phulon mein
gilaa bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi
vo baat apni jagah hai ye baat apni jagah
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
sajaa kar chaar-su rangin mahal tere khayaalon ke
tiri yaadon ki raanaai mein zebaai mein jiite hain
ulfat-e-sayyaad se majbur huun ai ham-nafas
varna ab bhi baazuon mein quvvat-e-parvaaz hai
un ki yaad mein bahte aansu khushk agar ho jaaeinge
saat samundar apni khaali aaankhon mein bhar laaungaa
khushk patton mein kisi yaad kaa shoala hai 'said'
main bujhaataa huun magar aag bhaDak jaati hai