Shayari
jab bhi mile ham un se unhon ne yahi kahaa
bas aaj aane vaale the ham aap ki taraf
gilaa bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi
vo baat apni jagah hai ye baat apni jagah
گلا بھی تجھ سے بہت ہے مگر محبت بھی
وہ بات اپنی جگہ ہے یہ بات اپنی جگہ
गिला भी तुझ से बहुत है मगर मोहब्बत भी
वो बात अपनी जगह है ये बात अपनी जगह

jab bhi mile ham un se unhon ne yahi kahaa
bas aaj aane vaale the ham aap ki taraf
dil lagaa lete hain ahl-e-dil vatan koi bhi ho
phuul ko khilne se matlab hai chaman koi bhi ho
kuchh to hassaas ham ziyaada hain
kuchh vo barham ziyaada hotaa hai
'baasir' tumhein yahaan kaa abhi tajraba nahin
bimaar ho? paDe raho, mar bhi gae to kyaa
ruk gayaa haath tiraa kyuun 'baasir'
koi kaanTaa to na thaa phulon mein
kaise yaad rahi tujh ko
meri ik chhoTi si bhuul
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
lagtaa hai judaa sab se kirdaar 'vasim' us kaa
vo shahr-e-mohabbat kaa baashinda nazar aae
use bahisht ke zindaan mein bhej denaa tum
gunaahgaar-e-mohabbat ko ye sazaa denaa
bahut tezaab phailaa hai gali-kuchon mein nafrat kaa
mohabbat phir bhi apne kaam se baahar nikalti hai
zahr hai mere rag-o-pai mein mohabbat shaayad
apne hi Dank se bichchhu ki tarah mar jaaun