Shayari
dil aayaa hai qayaamat hai miraa dil
uThe taazim de joban kisi kaa
yaad mein khvaab mein tasavvur mein
aa ki aane ke hain hazaar tariq
یاد میں خواب میں تصور میں
آ کہ آنے کے ہیں ہزار طریق
याद में ख़्वाब में तसव्वुर में
आ कि आने के हैं हज़ार तरीक़

dil aayaa hai qayaamat hai miraa dil
uThe taazim de joban kisi kaa
kabhi hansaayaa kabhi rulaayaa kabhi rulaayaa kabhi hansaayaa
jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar dabaa dabaa kar
nahin ye aadmi kaa kaam vaaiz
hamaare but taraashe hain khudaa ne
lahu Tapkaa kisi ki aarzu se
hamaari aarzu Tapki lahu se
adaaein taa-abad bikhri paDi hain
azal mein phaT paDaa joban kisi kaa
shaikh ke maathe pe miTTi barhaman ke bar mein but
aadmi dair-o-haram se khaak patthar le chalaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
hamein to saans bhi lene ki fursatein na rahin
kisi ki yaad ke munh-zor silsile hain bahut
is ko naa-qadri-e-aalam kaa sila kahte hain
mar chuke ham to zamaane ne bahut yaad kiyaa
ek saaghar bhi inaayat na huaa yaad rahe
saaqiyaa jaate hain mahfil tiri aabaad rahe
tujhe khabar hai ki ibtidaa bhi hai intihaa bhi
jahaan-e-maani mein darmiyaan ko bhi yaad rakhnaa