Shayari
hamaari zindagi to mukhtasar si ik kahaani thi
bhalaa ho maut kaa jis ne banaa rakkhaa hai afsaana
ab aadmi kuchh aur hamaari nazar mein hai
jab se sunaa hai yaar libaas-e-bashar mein hai
اب آدمی کچھ اور ہماری نظر میں ہے
جب سے سنا ہے یار لباس بشر میں ہے
अब आदमी कुछ और हमारी नज़र में है
जब से सुना है यार लिबास-ए-बशर में है

hamaari zindagi to mukhtasar si ik kahaani thi
bhalaa ho maut kaa jis ne banaa rakkhaa hai afsaana
vo qulqul-e-minaa mein charche miri tauba ke
aur shisha-o-saaghar ki mai-khaane mein sargoshi
apnaa to ye mazhab hai kaaba ho ki but-khaana
jis jaa tumhein dekheinge ham sar ko jhukaa deinge
mujhe shikva nahin barbaad rakh barbaad rahne de
magar allaah mere dil mein apni yaad rahne de
jis pe martaa huun use dekh to luun ji bhar ke
itni jaldi tu mire qatl mein jallaad na kar
tum jo chaaho to mire dard kaa darmaan ho jaae
varna mushkil hai ki mushkil miri aasaan ho jaae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
qahr hai zahr hai aghyaar ko laanaa shab-e-vasl
aise aane se to behtar hai na aanaa shab-e-vasl
hijr se vasl ki itni thi masaafat yaaro
rang tabdil huaa bahte hue paani kaa
tumhaaraa bag bhi tayyaar kar ke rakkhaa hai
akeli hijr ke aazaar kyon uThaaun main
gulshan-e-khuld mein har-chand ki dil bahlaayaa
kucha-e-yaar magar dil se bhulaayaa na gayaa
saamne mohabbat ke hech hai siyaasat bhi
jab dimaagh thak jaae dil se kaam le ai dost