Shayari
aakhiri baar mulaaqaat to kar li hai magar
silsila apni mohabbat kaa kahaan aakhiri hai
hijr se vasl ki itni thi masaafat yaaro
rang tabdil huaa bahte hue paani kaa
ہجر سے وصل کی اتنی تھی مسافت یارو
رنگ تبدیل ہوا بہتے ہوئے پانی کا
हिज्र से वस्ल की इतनी थी मसाफ़त यारो
रंग तब्दील हुआ बहते हुए पानी का

aakhiri baar mulaaqaat to kar li hai magar
silsila apni mohabbat kaa kahaan aakhiri hai
rahtaa huun main jitnaa saath sab ke
lagtaa hai akelaa ho gayaa huun
main apne aap mein taqsim hone lagtaa huun
use kaho ki mire saamne na aayaa kare
kabhi kabhi to miraa ghar bhi mujh se puchhtaa hai
ki is jahaan mein koi teraa ghar bhi hai ki nahin
inhi jhuke hue peDon se guftugu hai miri
janaab mere buzurgon se guftugu hai miri
puuri ho jaati agar koi kahaani hoti
ye mohabbat hai miyaan is mein kasak rahti hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ek din puchhaa na 'haatim' ko kabhu us ne ki dost
kab se tu bimaar hai aur kyaa tujhe aazaar hai
faqiron ke gharon mein lutf ki raatein bhi aati hain
ziyaarat ke liye aksar musammaatein bhi aati hain