Shayari
naala-e-bulbul se ghunchon ke kaleje phaT gae
gulsitaan vaale samajhte hain ki gul khandaan hue
S
Shahab Lakhnavisaamne mohabbat ke hech hai siyaasat bhi
jab dimaagh thak jaae dil se kaam le ai dost
سامنے محبت کے ہیچ ہے سیاست بھی
جب دماغ تھک جائے دل سے کام لے اے دوست
सामने मोहब्बत के हेच है सियासत भी
जब दिमाग़ थक जाए दिल से काम ले ऐ दोस्त
naala-e-bulbul se ghunchon ke kaleje phaT gae
gulsitaan vaale samajhte hain ki gul khandaan hue
mai-khaana-e-hasti mein muflis ki javaani kyaa
ik laghzish-e-mastaana do-chaar qadam jaise
kaun ehsaan-e-naa-khudaai le
is se behtar to Duub jaanaa hai
dayaar-e-ghair mein luTte to koi baat na thi
luTe vatan mein to sadma huaa na jaane kyuun
aur baDhte to khudaai kaa bhi daave karte
khair guzri ki ye but rah gae but-khaane mein
karo gunaah-e-mohabbat tamaam umr 'shahaab'
khudaa ki di hui neamat buton ke kaam aae
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ne bas itnaa hi likhaa i-love-you aur phir
us ne aage kar diyaa thaa gaal internet par
dil toDne vaale ko khabar ho ki abhi main
sar-taa-ba-qadam ik dil-e-bimaar nahin huun
khvaab dekhaa thaa mohabbat kaa mohabbat ki qasam
phir isi khvaab ki taabir mein masruf thaa main
mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti
hamaare darmiyaan ye faasle, kaise nikal aae