Shayari
har ustaad shaair ke ghar mein mileinge
ye har day ye churan vaghaira vaghaira
muskuraate hain gaaliyaan sun kar
ye siyaasat ki be-hayaai hai
مسکراتے ہیں گالیاں سن کر
یہ سیاست کی بے حیائی ہے
मुस्कुराते हैं गालियाँ सुन कर
ये सियासत की बे-हयाई है

har ustaad shaair ke ghar mein mileinge
ye har day ye churan vaghaira vaghaira
har chiiz mere ghar ki aashiq hui hai tujh par
deti hai meri murghi anDe tiri gali mein
hain munne ki ammaa ki pakki saheli
shakuran ghafuran vaghaira vaghaira
chhupaa luun 'be-takalluf' main bhi kaTTe
saudi jaa ke phir chanda karun main
phuul jaate hain zaraa si baat par
kyaa chane ki daal jaise log hain
us ne chappal bhi chuum kar maari
ye bhi andaaz-e-dil-rubaai hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
kyaa baat hai nazron se andheraa nahin jaataa
kuchh baat na kar li ho shab-e-gham ne sahar se
kuchh khabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tiri yaad mein bedaar rahaa
jab chhuaa hogaa us ne phulon ko
hosh khushbu ke uD gae honge