Shayari
har ustaad shaair ke ghar mein mileinge
ye har day ye churan vaghaira vaghaira
phuul jaate hain zaraa si baat par
kyaa chane ki daal jaise log hain
پھول جاتے ہیں ذرا سی بات پر
کیا چنے کی دال جیسے لوگ ہیں
फूल जाते हैं ज़रा सी बात पर
क्या चने की दाल जैसे लोग हैं

har ustaad shaair ke ghar mein mileinge
ye har day ye churan vaghaira vaghaira
har chiiz mere ghar ki aashiq hui hai tujh par
deti hai meri murghi anDe tiri gali mein
muskuraate hain gaaliyaan sun kar
ye siyaasat ki be-hayaai hai
hain munne ki ammaa ki pakki saheli
shakuran ghafuran vaghaira vaghaira
chhupaa luun 'be-takalluf' main bhi kaTTe
saudi jaa ke phir chanda karun main
us ne chappal bhi chuum kar maari
ye bhi andaaz-e-dil-rubaai hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
tire badan ki mahak ko gulaab se tashbih
ki jaise koi dikhaae charaagh suraj ko
mazkur jabki tere tabassum kaa aa paDaa
gulshan mein tifl-e-ghuncha-e-dil khilkhilaa paDaa