Shayari
ghairon se kahaa tum ne ghairon se sunaa tum ne
kuchh ham se kahaa hotaa kuchh ham se sunaa hotaa
aao husn-e-yaar ki baatein karein
zulf ki rukhsaar ki baatein karein
آؤ حسن یار کی باتیں کریں
زلف کی رخسار کی باتیں کریں
आओ हुस्न-ए-यार की बातें करें
ज़ुल्फ़ की रुख़्सार की बातें करें

ghairon se kahaa tum ne ghairon se sunaa tum ne
kuchh ham se kahaa hotaa kuchh ham se sunaa hotaa
ik ishq kaa gham aafat aur us pe ye dil aafat
yaa gham na diyaa hotaa yaa dil na diyaa hotaa
ummid to bandh jaati taskin to ho jaati
vaada na vafaa karte vaada to kiyaa hotaa
raat ki baat kaa mazkur hi kyaa
chhoDiye raat gai baat gai
qubul is baargah mein iltijaa koi nahin hoti
ilaahi yaa mujhi ko iltijaa karnaa nahin aataa
yaa-rab gham-e-hijraan mein itnaa to kiyaa hotaa
jo haath jigar par hai vo dast-e-duaa hotaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ijaazat maangti hai dukht-e-raz mahfil mein aane ki
mazaa ho shaikh-saahib kah uThein be-ikhtiyaar aae
nahin khel ai 'daagh' yaaron se kah do
ki aati hai urdu zabaan aate aate
koThe pe chehra-e-pur-nur dikhaayaa sar-e-shaam
yaar se rajat-e-khurshid kaa ejaaz huaa
ai 'hafiz' aah aah par aakhir
kyaa kahein dost vaah vaa ke sivaa
dushmanon se dosti ghairon se yaari chaahiye
khaak ke putle bane to khaaksaari chaahiye