Shayari
dil ke andar yuun chhupaa rakkhaa hai ik teraa khayaal
jaise ik biij mein poshida shajar rahtaa hai
apne dushman ko bhi mohabbat de
ishq ke daaere ko vusat de
اپنے دشمن کو بھی محبت دے
عشق کے دائرے کو وسعت دے
अपने दुश्मन को भी मोहब्बत दे
इश्क़ के दाएरे को वुसअ'त दे

dil ke andar yuun chhupaa rakkhaa hai ik teraa khayaal
jaise ik biij mein poshida shajar rahtaa hai
ab aa gayaa huun to dil mein utaar lenaa mujhe
bulaa ke paas mujhe raaegaan na kar denaa
main chaahtaa thaa miraa ishq laa-zavaal rahe
so maghfirat ki duaa maangtaa rahaa kal raat
tumhein hamesha zarurat pakaD ke laati hai
kabhi to aao mire ghar mire havaale se
ret ban kar miri muTThi se phisal jaati hai
ab mohabbat bhi sanbhaali nahin jaati mujh se
na jaane kaun si ghurbat hai meri aankhon mein
ki us badan mein khazaane talaash kartaa huun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'mir'-o-'ghaalib' bhi rahe ishq mein sarshaar miyaan
ab bhi fankaaron ke jiine kaa sahaaraa hai yahi
bajaT ki kai sakhtiyaan aur bhi hain
''abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain''
shaairi jhuuT sahi ishq fasaana hi sahi
zinda rahne ke liye koi bahaana hi sahi
mohabbat aam saa ik vaaqia thaa
hamaare saath pesh aane se pahle