Shayari
gham se naazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariyaa hai magar Thahraa huaa
is tarah rahbar ne luuTaa kaarvaan
ai 'fanaa' rahzan ko bhi sadma huaa
اس طرح رہبر نے لوٹا کارواں
اے فناؔ رہزن کو بھی صدمہ ہوا
इस तरह रहबर ने लूटा कारवाँ
ऐ 'फ़ना' रहज़न को भी सदमा हुआ

gham se naazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariyaa hai magar Thahraa huaa
vo aankh kyaa jo aariz o rukh par Thahar na jaae
vo jalva kyaa jo diida o dil mein utar na jaae
mujhe rutba-e-gham bataanaa paDegaa
agar mere pichhe zamaana paDegaa
tire vaadon pe kahaan tak miraa dil fareb khaae
koi aisaa kar bahaana miri aas TuuT jaae
ik tujh ko dekhne ke liye bazm mein mujhe
auron ki samt maslahatan dekhnaa paDaa
koi paaband-e-mohabbat hi bataa saktaa hai
ek divaane kaa zanjir se rishta kyaa hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai