Shayari
kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
ai be-khudi Thahr ki bahut din guzar gae
mujh ko khayaal-e-yaar kahin DhunDtaa na ho
اے بے خودی ٹھہر کہ بہت دن گزر گئے
مجھ کو خیال یار کہیں ڈھونڈتا نہ ہو
ऐ बे-ख़ुदी ठहर कि बहुत दिन गुज़र गए
मुझ को ख़याल-ए-यार कहीं ढूँडता न हो

kisi ke ek ishaare mein kis ko kyaa na milaa
bashar ko ziist mili maut ko bahaana milaa
apni jannat mujhe dikhlaa na sakaa tu vaaiz
kucha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
ham hain us ke khayaal ki tasvir
jis ki tasvir hai khayaal apnaa
rone ke bhi aadaab huaa karte hain 'faani'
ye us ki gali hai teraa gham-khaana nahin hai
mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai
na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
raas aati hi nahin jab pyaar ki shiddat mujhe
ik kami apni mohabbat mein kahin rakkhungaa main
raas aai hai na aaegi ye duniyaa lekin
rok rakkhaa hai mujhe kuuch ki tayyaari ne
ishq par ikhtiyaar hai kis kaa
faaeda pesh-o-pas mein kuchh bhi nahin