Shayari
mataa-e-barg-o-samar vahi hai shabaahat-e-rang-o-bu vahi hai
khulaa ki is baar bhi chaman par giraft-e-dast-e-numu vahi hai
raas aati hi nahin jab pyaar ki shiddat mujhe
ik kami apni mohabbat mein kahin rakkhungaa main
راس آتی ہی نہیں جب پیار کی شدت مجھے
اک کمی اپنی محبت میں کہیں رکھوں گا میں
रास आती ही नहीं जब प्यार की शिद्दत मुझे
इक कमी अपनी मोहब्बत में कहीं रक्खूँगा मैं

mataa-e-barg-o-samar vahi hai shabaahat-e-rang-o-bu vahi hai
khulaa ki is baar bhi chaman par giraft-e-dast-e-numu vahi hai
ek khvaahish hai jo shaayad umr bhar puuri na ho
ek sapne se hamesha pyaar karnaa hai mujhe
is andhere mein charaagh-e-khvaab ki khvaahish nahin
ye bhi kyaa kam hai ki thoDi der so jaataa huun main
rukaa huun kis ke vahm mein mire gumaan mein nahin
charaagh jal rahaa hai aur koi makaan mein nahin
ham musaafir hain gard-e-safar hain magar ai shab-e-hijr ham koi bachche nahin
jo abhi aansuon mein nahaa kar gae aur abhi muskuraate palaT aaeinge
kisi ki yaad se dil kaa andheraa aur baDhtaa hai
ye ghar mere sulagne se munavvar ho nahin saktaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
de dein abhi kare jo koi khub-ru pasand
ham ko nahin pasand dil-e-aarzu-pasand
banjaare hain rishton ki tijaarat nahin karte
ham log dikhaave ki mohabbat nahin karte
kisi ke ishq mein ye haal-e-zaar rahtaa hai
sukun paa ke bhi dil be-qaraar rahtaa hai
aaj ghaalib hai mire sar par ishq
aaj main 'mir' huaa chaahtaa huun