Shayari
na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
us ko bhule to hue ho 'faani'
kyaa karoge vo agar yaad aayaa
اس کو بھولے تو ہوئے ہو فانیؔ
کیا کروگے وہ اگر یاد آیا
उस को भूले तो हुए हो 'फ़ानी'
क्या करोगे वो अगर याद आया

na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
apni jannat mujhe dikhlaa na sakaa tu vaaiz
kucha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
ham hain us ke khayaal ki tasvir
jis ki tasvir hai khayaal apnaa
rone ke bhi aadaab huaa karte hain 'faani'
ye us ki gali hai teraa gham-khaana nahin hai
mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai
yaa-rab tiri rahmat se maayus nahin 'faani'
lekin tiri rahmat ki taakhir ko kyaa kahiye
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
kam-ayaari ne khudaa-soz banaayaa aisaa
but to sab yaad rahe ek khudaa bhuul gae
miTTi pe numudaar hain paani ke zakhire
in mein koi aurat se ziyaada nahin gahraa
sab doston se mujh ko ziyaada 'aziz hai
aisaa bhi ek shakhs mire dushmanon mein hai
aisaa hai ki sikkon ki tarah mulk-e-sukhan mein
jaari koi ik yaad puraani karein ham bhi