Shayari
usi taraf hai zamaana bhi aaj mahv-e-safar
'faraagh' main ne jidhar se guzarnaa chaahaa thaa
kaun aataa hai ayaadat ke liye dekhein 'faraagh'
apne ji ko zaraa naa-saaz kiye dete hain
کون آتا ہے عیادت کے لیے دیکھیں فراغؔ
اپنے جی کو ذرا ناساز کیے دیتے ہیں
कौन आता है अयादत के लिए देखें 'फ़राग़'
अपने जी को ज़रा ना-साज़ किए देते हैं

usi taraf hai zamaana bhi aaj mahv-e-safar
'faraagh' main ne jidhar se guzarnaa chaahaa thaa
ham se tahzib kaa daaman nahin chhoDaa jaataa
dasht-e-vahshat mein bhi aadaab liye phirte hain
mujh mein hai yahi aib ki auron ki tarah main
chehre pe kabhi dusraa chehraa nahin rakhtaa
khuub nibhegi ham donon mein mere jaisaa tu bhi hai
thoDaa jhuTaa main bhi Thahraa thoDaa jhuTaa tu bhi hai
kisi ne raah kaa patthar hamin ko Thahraayaa
ye aur baat ki phir aaina hamin Thahre
yaaro hudud-e-gham se guzarne lagaa huun main
mujh ko sameT lo ki bikharne lagaa huun main
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
rashk se naam nahin lete ki sun le na koi
dil hi dil mein use ham yaad kiyaa karte hain