Shayari
guftugu kisi se ho teraa dhyaan rahtaa hai
TuuT TuuT jaataa hai silsila takallum kaa
hamein bhi apni tabaahi pe ranj hotaa hai
hamaare haal-e-pareshaan pe muskuraao nahin
ہمیں بھی اپنی تباہی پہ رنج ہوتا ہے
ہمارے حال پریشاں پہ مسکراؤ نہیں
हमें भी अपनी तबाही पे रंज होता है
हमारे हाल-ए-परेशाँ पे मुस्कुराओ नहीं

guftugu kisi se ho teraa dhyaan rahtaa hai
TuuT TuuT jaataa hai silsila takallum kaa
kitni ranginiyon mein teri yaad
kis qadar saadgi se aati hai
tarab kaa rang mohabbat ki lau nahin detaa
tarab ke rang mein kuchh dard bhi samo lein aaj
baat ko samajh lenaa 'aam baat hai lekin
baat ki nazaakat ko log kam samajhte hain
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge