Shayari
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
ek muddat se tiri yaad bhi aai na hamein
aur ham bhuul gae hon tujhe aisaa bhi nahin
ایک مدت سے تری یاد بھی آئی نہ ہمیں
اور ہم بھول گئے ہوں تجھے ایسا بھی نہیں
एक मुद्दत से तिरी याद भी आई न हमें
और हम भूल गए हों तुझे ऐसा भी नहीं

chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
main muddaton jiyaa huun kisi dost ke baghair
ab tum bhi saath chhoDne ko kah rahe ho khair
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
koi taamir ki surat to nikle
hamein manzur hai buniyaad honaa
vo tiraa unchi haveli ke qafas mein rahnaa
yaad aae to parindon ko rihaa kartaa huun
bas ek raat se kaise thakan utarti hai
badan ko chaahiye aaraam kuchh ziyaada hi
shiddat-e-shauq mein kuchh itnaa use yaad kiyaa
aaina toD ke tasvir nikal aai hai
suluk rakhtaa hai mujh se munaafiqon jaisaa
tamaam shahr mein jo mo'atabar ziyaada hai