Shayari
kachchi qabron par saji khushbu ki bikhri laash par
khaamushi ne ik nae andaaz mein taqrir ki
sun qataar andar qataar ashjaar ki sargoshiyaan
aur kahaani paDh khizaan ne raat jo tahrir ki
سن قطار اندر قطار اشجار کی سرگوشیاں
اور کہانی پڑھ خزاں نے رات جو تحریر کی
सुन क़तार अंदर क़तार अश्जार की सरगोशियाँ
और कहानी पढ़ ख़िज़ाँ ने रात जो तहरीर की

kachchi qabron par saji khushbu ki bikhri laash par
khaamushi ne ik nae andaaz mein taqrir ki
haar diyaa hai ujlat mein
khud ko kis aasaani se
main apne baap ke siine se phuul chuntaa huun
so jab bhi saans thami baagh mein Tahal aayaa
dikhaai dene lagi thi khushbu
main phuul aankhon pe mal rahaa thaa
vo peD jis ki chhaanv mein kaTi thi umr gaanv mein
main chuum chuum thak gayaa magar ye dil bharaa nahin
bas ek lamha tire vasl kaa mayassar ho
aur us visaal ke lamhe ko daaimi kiyaa jaae
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
raat ke vaqt ubhartaa hai junun kaa suraj
din nikalte hi kisi chaand mein Dhal jaataa hai
shikasta-dil andheri shab akelaa raahbar kyuun ho
na ho jab ham-safar koi to apnaa bhi safar kyuun ho