Shayari
pattharon se kab talak baandhegi ummid-e-vafaa
zindagi dekhegi kab tak jaagti aankhon se khvaab
H
Haneef Sajidinqalaab-e-subh ki kuchh kam nahin ye bhi dalil
pattharon ko de rahe hain aaine khul kar javaab
انقلاب صبح کی کچھ کم نہیں یہ بھی دلیل
پتھروں کو دے رہے ہیں آئنے کھل کر جواب
इंक़लाब-ए-सुब्ह की कुछ कम नहीं ये भी दलील
पत्थरों को दे रहे हैं आइने खुल कर जवाब
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
bahut gadlaa thaa paani us nadi kaa
magar main apnaa chehra dekh aayaa
ishq kaa banda bhi huun kaafir bhi huun momin bhi huun
aap kaa dil jo gavaahi de vahi kah lijiye
kyaa tafarqe huaa jo hue yaar se alag
dil ham se aur ham hain dil-e-zaar se alag
jo ashk surkh hai naama-nigaar hai dil kaa
sukut-e-shab mein likhe jaa rahe hain afsaane