Shayari
inqalaab-e-subh ki kuchh kam nahin ye bhi dalil
pattharon ko de rahe hain aaine khul kar javaab
H
Haneef Sajidpattharon se kab talak baandhegi ummid-e-vafaa
zindagi dekhegi kab tak jaagti aankhon se khvaab
پتھروں سے کب تلک باندھے گی امید وفا
زندگی دیکھے گی کب تک جاگتی آنکھوں سے خواب
पत्थरों से कब तलक बाँधेगी उम्मीद-ए-वफ़ा
ज़िंदगी देखेगी कब तक जागती आँखों से ख़्वाब
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
yahi hai zindagi kuchh khvaab chand ummidein
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
yahin rahungaa kahin 'umr bhar na jaaungaa
zamin maan hai ise chhoD kar na jaaungaa
be-vaqt agar jaaungaa sab chaunk paDeinge
ik umr hui din mein kabhi ghar nahin dekhaa