Shayari
hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
ham aise log zaaea ho rahe hain
khudaa chup-chaap dekhe jaa rahaa hai
ہم ایسے لوگ ضائع ہو رہے ہیں
خدا چپ چاپ دیکھے جا رہا ہے
हम ऐसे लोग ज़ाएअ' हो रहे हैं
ख़ुदा चुप-चाप देखे जा रहा है

hamaare aansu kisi Thikaane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib paani kaa kyaa banegaa
tumhaari aankhon pe nazm kahne se pahle ham ne bhigoi aankhein
sunaa huaa thaa zamin nam ho to achchhi hoti hai kaasht-kaari
us ke meaar par khudaa laae
us nazar tak to aa gae hain ham
sitaare dekhne vaale hamein bataate hain
hamaare honT tumhaari jabin ko tarseinge
use bataanaa parinde use bulaate hain
use bataanaa ki shaair udaas hai us kaa
ye saath gaanv mein ek chhoTaa saa kaam hai bas
miri udaasi udaas mat ho main aa rahaa huun
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
meri arz-e-shauq be-maani hai un ke vaaste
un ki khaamoshi bhi ik paighaam hai mere liye
tumhaari yaad bhi chupke se aa ke baiTh gai
ghazal jo 'mir' ki ik gungunaa rahaa thaa main
kisi ko dekh ke chup chup se kyuun hue 'mohsin'
kahaan gae vo iraade sukhan-varon vaale
mere tikhe sher ki qimat dukhti rag par kaari choT
chikni chupDi ghazlein be-shak aap kharidein sone se
zamaana yaad kare yaa sabaa kare khaamosh
ham ik charaagh-e-mohabbat jalaae jaate hain