Shayari
ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
dar-ba-dar maaraa-phiraa main justuju-e-yaar mein
zaahid-e-kaaba huaa rahbaan-e-but-khaana huaa
در بہ در مارا پھرا میں جستجوئے یار میں
زاہد کعبہ ہوا رہبان بت خانہ ہوا
दर-ब-दर मारा-फिरा मैं जुस्तुजू-ए-यार में
ज़ाहिद-ए-काबा हुआ रहबान-ए-बुत-ख़ाना हुआ

ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
hai ye purab ki zabaan-daani 'mehr'
kahte hain baat ko ham suntaa huun
kaabe mein ham ko dair kaa har dam khayaal thaa
allaah jaantaa hai buton kaa rahaa lihaaz
ye hind hai ai 'mehr' yahaan puuj buton ko
kyuun barahman-e-dair-o-kalisaa nahin honaa
ku-e-qaatil mein basegi nai duniyaa ik aur
rose hotaa hai nayaa shahr-e-khamoshaan aabaad
gul baang thi gulon ki hamaaraa taraana thaa
apnaa bhi is chaman mein kabhi aashiyaana thaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khud apne gham hi se ki pahle dosti ham ne
aur us ke baa'd gham-e-dostaan ko pahchaanaa
agar vo aaj raat hadd-e-iltifaat toD de
kabhi phir us se pyaar kaa khayaal bhi na aaegaa
mumkin hai ashk ban ke rahun chashm-e-yaar mein
mumkin hai bhuul jaae gham-e-rozgaar mein
kuchh vaqt apne saath guzaarungaa main 'zamir'
khud se agar milaa jo kabhi ku-e-yaar mein
hamein khabar thi bachaane kaa us mein yaaraa nahin
so ham bhi Duub gae aur use pukaaraa nahin